Iss Qader Pakeeza Mohabbat Ki Hai Tum Se Sar Utha Kar Dekha Bhi To Sirf Paon Tak

 


اِس قدر پاکیزہ محبت کی ہے تم سے”
“سَر اٹھا کر دیکھا بھی تو صرف پاؤں تک

Iss Qader Pakeeza Mohabbat Ki Hai Tum Se
Sar Utha Kar Dekha Bhi To Sirf Paon Tak

محسوس کر ہمیں خود میں”
“تیری سانسوں میں رہتے ہیں ہم

Mehsoos Kar Hamein Khud Mein
Teri Saanson Mein Rehtay Hain Hum

مجھے رکھ گرفت فریب میں”
“تیرا جھوٹ بھی مجھے راس ہے

Mujhe Rakh Girift Fraib Mein
Tera Jhoot Bhi Mujhe Raas Hai

مت پوچھ میری جاگنے کی وجہ اے چاند”
“تیرا ہی ہم شکل ہے جو مجھے سونے نہیں دیتا

Mat Pooch Meri Jaagne Ki Wajah Ae Chaand
Tera Hi Hum Shakal Hai Jo Mujhe Sonay Nahi Deta

دل چاہتا ہے لکھوں کچھ اِس قدر گہرا کے”
“پڑھ تو سب ہی پائے مگر سمجھو صرف تم

Dil Chahta Hai Likhon Kuch Iss Qader Gehra Ke
Parh To Sab Hi Paye Magar Samjhoo Sirf Tum

تیرے بنا نہیں ملتا سکون مجھے کہیں”
“کہا نہ میرے اور صرف میرے ہوکر رہوتم

Tairay Bana Nahi Milta Sukoon Mujhe Kahin
Kaha Nah Mere Aur Sirf Mere Hokar Raho Tum

اپنی آنکھوں میں بسا کر کوئی اقرار کروں”
“جی میں آتا ھے جی بھر کے تجھے پیار کروں

Apni Aankhon Mein Basa Kar Koi Iqraar Karoon
Jee Mein Aata He Jee Bhar Ke Tujhe Pyar Karoon

Post a Comment

0 Comments